Wednesday, October 19, 2011

Aao chale...


Aao chale us oor,
Jeevan ko de naya ek modh,
Vishudh prakruti ko le hum odh,
Drudh karein phir rishton ki dor,
Vighn baadaon ko karke todh,
Apmishran ko peeche chodh,
Aashray ho vasundhara ki godh,
Jahan na koi ho anchaha shor,
Aao chale us oor...


{Inspired by a documentary on 'Living Bridges - Meghalaya'}

Wednesday, May 18, 2011

Shayari 20110517

Khayalon ko kalam se baandh kar dekho,
kore kaagaz ko syaahi se nikhaar kar dekho,
Shubdaanjali mein doob, shubdon ki kyaari se behek,
Kavi ya kavyatri na sahi, kavitayein boon kar toh dekho! 

Thursday, March 31, 2011

Shayari 20110330 :)

Arz hai...
Aankhon ko khol ke khwaab boonna na aaya,
Aakhein band ki toh num palkon ka saaya paaya,
Na kholu inhe mein, ki jhalak inki na dekho tum,
Yeh woh keh dein jo in katarati labon ne na keh paaya!